Shri Batuk Bhairav

Om Hrim Bham Bhairavaya Namah

Jay Ambe Jagadambe Maa - Shri Batuk Bhairav

Jay Ambe Jagadambe Maa

November 10th, 2014

Jay ambe jagadambe maa tere dam se hai duniya
Jay ambe jagadambe maa tere dam se hai duniya
Teri mahima koyi na jane tujhse kon bacha hai yaha
Jay ambe jagadambe maa tere dam se hai duniya
Teri mahima koyi na jane tujhse kon bacha hai yaha

Drishti daya ki jispe dale tu uska uddhar kare
Jan kalyani bhav sagar se sabaka beda paar kare
Khali jholi bharne wali kisko de de kab kitna

Teri mahima koyi na jane tujhse kon bacha hai yaha
Jay ambe jagadambe maa tere dam se hai duniya
Teri mahima koyi na jane tujhse kon bacha hai yaha

Andhere me banke ujala bhatake jano ko raah dikhaye
Maiya kar santo ki raksha shaitano ko aaj mita
Jalim ko aisi saja de rah na jaye koyi nishaa
Teri mahima koyi na jane tujhse kon bacha hai yaha
Jay ambe jagadambe maa tere dam se hai duniya
Teri mahima koyi na jane tujhse kon bacha hai yaha

He maa rani devi bhawani jyot jalaane aaya hu
Jyota wali mata kali tujhko manaane aaya hu
He maihar vaishnav durga chandi bas tere gun gaunga
Baras baras mai inn charno me shradha phul chadhaunga
He ruk jayega dar pe tere agar tufan bhi aayega
Mere sar pe hath hai tera mujhko kon mitayega

Diffusé par Adcash

Your email address will not be published. Required fields are marked *

*

Shri Batuk Bhairav

Om Hrim Bham Bhairavaya Namah

copyright © batukbhairav.com 2013
•  All rights reserved.
Website development & Promotion by